Dhg

naya sikhe tech news in hindi, tech news today, technology news india, technology news , blogging learning, youtube learning

Wednesday, 11 November 2020

Whatsapp pay new update in india| whatsapp से पैसे लेने और भेजने का तरीका 2020

 Whatsapp pay new update in india

WhatsApp pay new update in india! 

Yaha hai bahut hi achha tarika whatsapp से पैसे लेने और भेजने का तरीका


Hello dosto main aaj is post me aapko bahut hi achhi news dene wala hu yeh news whatsApp users ke liye  bahut hi help ful hone wali hai. 

To dosto is post ko pura padhe. 

Dosto main aysi hi new update aur naye news, tech ki jankari main is post me likhta rahunga but us se pehle aap meri site ko subscribe jaroor kare. 




WhatsApp payment feature ko national payment corporation of india ya NPCI ke saath saajedari me design kiya gaya hai aur yeh unifead payment interface ya fir UPI par aadharit hai. 


Dosto WhatsApp users ke liye yeh bahut achhi baat hai ki ab WhatsApp ne india me payment feature ko launch kar diya hai. Whatsapp pay ko dhire dhire rollout kiya ja raha hai. To dosto abhi tak aapko apne WhatsApp par yeh feature nahi show huva hai to don't worry jald hi yeh feature aapke phone me WhatsApp ke letest version me show hone lagega. 

Main point. Whatsapp pay bharat me huva rollout

WhatsApp users ab kar sakte hai digital payment

Aur bhi UPI app par bhej sakte hai paise. 


WhatsApp ke is feature ke istemaal se pehle yeh dhyan rakhe. 
Ki aap apne phone me android ya fir ios ke letest version par ho. 
Saath saath aapka WhatsApp number aapke bank account se link hona chahiye. 
Agar is se jyada aap is feature ko kaise use kare jan na chahte hai to niche pura padhe. 



Whatsapp pay: how to set up

WhatsApp payment कैसे सेट करे? 

1..Sabse pehle whatsapp ko open kare aur settings par click kare uske baad payment par tap kare. 

2. Ab Add payment method par click kare aur apna bank choose kare. 

3. Bank choose karne ke baad aapko apna mobile number verify karna hai. Ab verify via SMS par click kare. 

4. Verify complete hone ka wait kare. Verify complete hone ke baad aapki bank details payment method me add ho jayegi. 


WhatsApp pay: how to make payments

1...whatsapp chat open kare aur fir attachment ke option par click kare. 

2...Ab payment par click kare aur jisko jitna amount bhejna chahte hai utna type kar ke enter karde. 

3. Ab UPI pin dale aur payment ki procces ko pura kare. 



Jo log UPI APP jaise ki phonepe ya google pay ko use karte hai . Unhe is tarha bhej sakte hai paise. 

1.whatsapp open kare aur settings me jaa kar payment par tap kare. 

2. Ab new payment aur fir send to a UPI ID tap kare. Uske baad UPI ID dalkar verify kare. 

3 UPI ID verify one ke baad amount dal kar enter kare. 

4.payment procces puri karne ke liye UPI PIN dale. 


Jinhone abhi tak WhatsApp par register nahi kiya  aap un sabhi logo ko bhi request bhej sakte hai. 

1whatsapp chat open kare aur attachment par click kare aur  fir payment par jaye. 

2. Next screen par notify par tap kare uske baad aur logo ko WhatsApp payment feature ki jankari de.. 



Kuchh hi time me aap WhatsApp se digital payment 
Kar sakte hai. 


------------------------DHGSACHIN----------------------------

maine aapko is post me WhatsApp payment method ki puri jaankari di hai agar aapko abhi bhi koi problem hai to niche comments me type kare. 

Dosto agar aapko yeh article achha lage to mere blog ko subscribe jaroor kare. Aur saath saath aap is post ko apne friends ke saath share jaroor kare. 

0 comments:

Post a Comment

Popular Posts

Blog Archive